Ghar ko wifi zone me change kaise kare
Ghar me agar ek se jyada user ko internet chalana hai to iske
lie sabse pahle ghar ko wifi zone me change karna hoga. bade-bade offices me to
sabhi ko internet access karane ke lie it department alag se hota hai lekin
ghar agar koi it ka jankar nahi hai to ye kaam thoda mushkil ho jata hai iske
lie wifi ke baare me thoda bahut jankari honi jaruri hai .
Ghar me wifi zone kyo jarury hai basic jankary :sabse pahle
baat aati hai ki ghar ke sabhi users ko internet mil sake, internet ki problem
solve hone ke baad baat aati hai ki sabhi ko jaruri speed alote ho sake. Agar apko iske baare me jankary ho
jaye to apki aadhi problem solve ho jayegi.
Router ya Hotspot ko set kaise kare: Router ko aisi jagah par
rakhe, jaha se sabhi ko jarury speed mil sake. ghar ke kamro ke baach walls bhi
hoti hai halanki wifi ke signal wall ko bhi Penetrate karke chali jati hai.
lekin wall ke karan signal weak ho jate hai, or internet ki speed slow ho sakti
hai. ghar me jitnjii jyada walls hongi , internet ki speed utni hi slow hoti
jayegi. Aise me Router ya Hotspot ko aise place par rakhe jo ghar ke sabse
center point ho.
Kon sa Router rehega sahi :vaise to lagbhag har compony apne
Router ke best hone ka dava karti hai , but apko Router me kuchh important dekhna
hoga jaise ki -
1. Router ki range
2.Router ki cost
3.Router ki power
4.Router ki user capacity
ye amzon par kuchh router hai ap inhe dekh sakte ho
ye amzon par kuchh router hai ap inhe dekh sakte ho
Ab baat aati hai main
point yani ki wifi zone ki , iske lie aap ghar ke akar ke hisab se multiple
access point market le sakte ho ya online bhi apko asaani se multiple access
mill jate hai.
Multiple access : multiple access ek aisa device hota hai
jisse ap asaani se wifi ko devide kar sakte ho.
ap chahe to gests ke lie low power ka secondary wifi bhi use
kar sakte ho, low power ka wifi bhi market ya online apko asaani se mil jayega
Ghar ko wifi zone me change karne ke baad baat security ki aati hai to iske lie apko basic internet security ke bare me jankary honi jarury hai.
Finaly is prakar ap apne ghar ko wifi zone me change kar
sakte ho.
apko post kaisi lagi comment karke jarur bataye or agar apko
post achhi lagi to share jarur kijiyega.
Comments
Post a Comment